Parwana nahi hoon ki ik pal mein mit jayunga,
Diwaana nahi hoon ki sab chhod ke lut jayunga
aaina nahi hoon ki gira to toot jayunga
daaman bhi nahi hoon ke fat ke chhoot jayunga
Main to Ishaq hoon ae husan zara gaur se dekh
aa thoda kareeb ke tujh mein samaa jayunga
Ban ke baati ae shama main tujh mein Chhip rahunga
Mohabbat ki Lau mein khud jalunga, tujh ko Pighlayunga
Ik saath hogi shuru ik saath khatam teri meri kahaani
Mitate hi tere dekhana main bhi bujh jayunga
Recommend